Kabhi socha yahi likh doon
lamhe hathon mein bharkar, abhi likh doon
chunta rehta hoon yunhi beparwah hasrate
soche samjhe daiyaron mein simtakar sabhi likh doon
Raaton ki karwate badal badal kar
kabhi woh din fir uga loonga
filhal ki shamaein jalti thi jinme
dhalti un aankhon se shab ke parde utha loonga
Har shaak ke toote lafzon ki
kehni sun ni baaki hai
raat aur din ke fero se anchoohe
lamho ki kahani baaki hai
Kitne lambe safar hain yeh jo
lagta bhi nahi ki chale kabhi
baaton ki baaton mein kat te rahe
labo ki mazaal ki hile kabhi
Hum aarzoon aur justjuon ki
uljhan mein suljhkar hain nashaad
pal pal mein hairan hota hain
is pal aabaad, is pal barbaad
Kyun chaante gehre dhuhon ko
kate haathon ki banti lakeeron ko
subah ki dhoondh mein khoe jo
kyun dhoondein un tasveeron ko
Yeh baat thi likhne likhane ki
bekaar ki baaton mein jo ulajh gayi
sawaal fir ek aur raat ka tha
jo jawaabon ke daur se gujar gayi
Ab chedenge jikr fir kisi raat mein
kaatenge yeh andhere fir kisi baat mein
waise bi daastan aur afsane bante nahi
ek hi raat ki baat mein.
Picture taken one beautiful evening near the South Beach in Keywest, Florida.
No comments:
Post a Comment