तू अपने दिल को क्यों थामता है
तेरा दिल बना है आसमा के लिए
आसमा से भी ऊंचे जहां के लिए
उड़ानों की मंजिल कौन जानता है
तू अपने दिल को क्यों थामता है
तेरी भी सुन लेंगे कभी यह लोग
जो न भी सुनें तो क्या है सोग
हर्फो के आशय नहीं हर कोई जानता है
तू अपने दिल को क्यों थामता है
हर बुलंदी से ऊंची है आवाज़ तेरी
फलक चीर देगी परवाज़ तेरी
क्यों काबिलियत को अपनी गुनाह मानता है
तू अपने दिल को क्यों थामता है
कभी वो भी मंज़र आँखों से चार होगा
कभी रूबरू कोई जांनिसार होगा
इंतज़ार का अंजाम यूँ भी कौन जानता है
तू अपने दिल को क्यों थामता है
जो हाथ नहीं तेरे, है नहीं वो किस्मत
जो तुझको नहीं हासिल, ख़ाक है वोह जन्नत
किस्मत के दम पर जीने में क्या महानता है
तू अपने दिल को क्यों थामता है
_________________________________________________
Transliteration
Kisi ke dil ki kaun jaanta hai
Tu apne dil ko kyun thaamta hai
Tera dil bana hai aasmaa ke liye
Aasmaa se bhi oonche jahaan ke liye
Udaano ki manzil kaun jaanta hain
Tu apne dil ko kyon thaamta hai
Teri bhi sun lenge kabhi yeh log
Jo na bhi sune to kya hai shog
Harfo ke aashay nahi har koi jaanta hai
Tu apne dil ko kyon thaamta hai
Har bulundi se oonchi hai aawaaz teri
Falak cheer degi parwaaz teri
Kyon kaabiliyat ko gunaah maanta hai
Tu apne dil ko kyon thaamta hai
Kabhi woh bhi manjar aankhon se char hoga
Kabhi rubaru koi jaannissar hoga
Intezaar ka anjaam yun bhi kaun jaanta hai,
Tu apne Dil ko kyon thaamta hai
Kismat ke dum par jeene mein kya mahanta hai
Tu apne dil ko kyon thaamta hai
Tu apne dil ko kyun thaamta hai
Tera dil bana hai aasmaa ke liye
Aasmaa se bhi oonche jahaan ke liye
Udaano ki manzil kaun jaanta hain
Tu apne dil ko kyon thaamta hai
Teri bhi sun lenge kabhi yeh log
Jo na bhi sune to kya hai shog
Harfo ke aashay nahi har koi jaanta hai
Tu apne dil ko kyon thaamta hai
Har bulundi se oonchi hai aawaaz teri
Falak cheer degi parwaaz teri
Kyon kaabiliyat ko gunaah maanta hai
Tu apne dil ko kyon thaamta hai
Kabhi woh bhi manjar aankhon se char hoga
Kabhi rubaru koi jaannissar hoga
Intezaar ka anjaam yun bhi kaun jaanta hai,
Tu apne Dil ko kyon thaamta hai
Jo haath nahi tere, hai nahi woh kismat
Jo tujhko nahi haasil, khaak hai woh jannatKismat ke dum par jeene mein kya mahanta hai
Tu apne dil ko kyon thaamta hai
6 comments:
wah wah wah mere bhai....dil khush ho gaya....ek sher meri taraf se ...
Zindgi ek raat hai,
Is mein bhi kitne khwab hain...
Jo mil jae vo apne,
Aur jo tut jae vo sapne...
gud one
Kya baat hai bhaiya, bahut badhiya!!! first time mushe aap ki koi kavita samjma aai hai..
@ Pranjuli
:) Your lines echo the sentiments as the poem, uska hi extension lagti hain.
@ Arpan
Thanks
@ Nidhi Bhabhi
Ha ha ha, ab yeh taarif thi ya kuch aur ;)
just awesomeeeeeeee....
maja aa gaya!
just awesomeeeee...
very nice
Post a Comment