Wednesday, April 04, 2007

Hasina ki Hansi

Hasina ki hansi ka yaaron karna na aitbaar
Jaayegi doob naiiya tumhari beech bhanwar majhdhaar
Na choona labo se labo ko kisi ke
Na karna kabhi kisi ka intezaar
Hasina ki hansi ka yaaron karna na aitbaar

Yeh zulfo Ki chaon hai lagti suhaani
Par hoti asal mein hai badi kharab
Bhoole se kabhi na yeh dil lagana
Ki hota bura hai yeh pyar ka bukhaar
Hasina ki hansi ka yaaron karna na aitbaar

Baaton mein inki na aana kabhi bhi
Adaaon pe inki na jaana kabhi bhi
Muskarahat sajaye labo pe to bachna
Hota bahut hai yeh zeher asardaar
Hasina ki hansi ka yaaron karna na aitbaar

Tumse to bas dikhawa hai
Aaine se inhe pyaar
Ji bhar ke dil se khelna
Hai inka kaarobar
Hasina ki hansi ka yaaron karna na aitbaar

Aankhon mein pyar, Hoton pe hansi
Gaalon pe zulf hai aisi saji
Adaaon mein inki hai jaadu koi
Bolon mein khanak, Haathon mein kala
Hai aisi bala ki bachna zara
Jo fisal gaye to fir na kehna
Nahi kiya tumko hoshiyaar
Hasina ki hansi ka yaaron karna na aitbaar

No comments: