Sunday, January 27, 2008

Khoobsurat


Tum kitni khoobsurat ho.
Ek anchooi kali si
gulab ki pankhudi par jaise os ki ek nanhi boond
lalima liye hue subah ke suraj ki pehli kiran si
ya baadalon mein lookachipi karti hui chandni si,
Tum kitni khoobsurat ho.

Tapte dino mein thandi hawa
ya saawan ki umadti ghumadti ghata,
moti bikherti ye tumhari hansi
shant jal mein jaise tarango ka uthna
aur uth ke fir palke jhook jaana,
Tum kitni khoobsurat ho.

Saawan ke jhoolon par pankh khol udne ko betaab
aur hawa mein misri gholti tumhari awaaz
girta hua jharna ya kal kal behta dariya
chanchal aisi ki doodh ho ufaan par
ya koi nadi dhalaan par,
Tum kitni khoobsurat ho.

Barfili sardiyon mein bikhri sunhari dhoop
ya aam ke baago mein koyal ki koonk
satrangi indradhanush ho jaise aasmaa ke seene par
sagar ki gehraiyon se nikla koi anmol moti
rajnigandha ki khooshboo si saara aalam bhigoti

Tumhara ehsaas khood mein kitna khoobsurat
tumhara khayal aate hi chaati hui madhoshi;
Tumhara jikr kaafi hai khudko bhoolane ke liye
aur tumhara aks, aankhein jise har pal dekhti hain,
Sach tum bahut khoobsurat ho,
bahut !


Picture courtesy: http://www.ratemyscreensaver.com/wp-content/uploads/2007/05/jtca0012.jpg

No comments: