Saturday, June 30, 2007

Ek Aur Raat (Intezaar Mein)


Isi intezaar mein baitha hoon
ki kab yeh shaam dhale
aur raat ka aanchal odh,
Mere khwabon ko mehkane
teri yaadein aayein

Bahut din hue tera deedar hokar
meri nazar ko paak hue
Bahut din hue dil mein bechaini lekar
raaton ko barbaad hue

Tere ehsaas ki hasrat mein
raatein gujarti rehti hain
Tere hoton ka tabassum,
Teri aankhon ka noor,
Sadiyon se lambi bhi yeh raatein hoti
to aitraaz na tha.
Main kaat leta, tere bahane tere sahare.

Teri zulf ki woh lat
jo tere rukhsaar ko chukar jhoom leti hai
Yeh hawayein, jo tere chehre ko choom leti hain
Kya naseeb hai inka, aur tere aanchal ka
ki yeh tere saath hain, har ju har lamha
Par fir main bhi akela nahi
yeh raat jo hai

Is raat mein teri khushboo hai
Teri hansi ki awaaz
Is raat ke sannate cheer deti hai,
Is raat mein teri yaadein hain,
Meri tanhayi teri yaadon mein bat jaati hai
aur raat yun hi kat jaati hai
Teri yaadon mein doobe hue
Teri yaadon mein khoye hue.

Picture courtesy : http://www.thegrantgallery.com/Art_work/Mist_evening.JPG

2 comments:

Balaji Sharma said...

Wow.

Shashvat Sahni said...

chauhan..teri shakl aur akal tere dil se bilcul mel nahin khate...kamal hai guru..!!